verfi

Pages - Menu

verfi

Thursday 14 April 2016

Love shayri

na jane Dill kyun khincha jata hai uski Tarf,
Kiya usne bhi mujhe pane ki duaa mangi hai
-------------------------------------
Tu saath chalta to sayed manzil mil jati mujhe;
mujhe to koi rasta pehchanta hi nahi;
-----------------------------------
Apni pyari aankho me chupa lo mujhko"
Mohabbat tumse hai chura lo mujhko"
Dhoop ho ya sehra Tere saath chalenge hum"
Yaqeen na ho to aajma lo mujhko"
Tere har dukh ko  seh lenge hans ke hum"
Apni wajood ka chadar bana lo mujhko"
Zindagi bhi tere naam kardi maine"
Bas chnd lamhe seene se laga lo mujhko"
=========================================
Ture Lines.....
Kisi se shirf utna hi door hona"
Ki use aap ke ahemiyat ka ehsas ho jaye"
Lekin kabhi itna bhi door mat hona"
Ki wo aap ke bina jina sikh le"
------------------------------------
Aaj usne ek baat keh ke mujhe rula diya"
Jab dard bardasht  nahi kar sakte to Mohabbat kyo Ki?
----------------------------------------------
Mohabbat ki dastaan sunane aaye hai,
Tabaah karne ke baad wo pyar jatane aaye hai,
Aansu poch liye the humne kab ke,
Magar wo fir se aaj hume rulane Aaye hi
-------------------------------------------
Tute hue dill ko, sambhalne ki... aas kyo rakhe,
Kitna khoya hai jindagi me.... hisab kyo rakhw.
Chehre par gam bihta kar kya milega dosto...,
Apne azaab apne hai, Auro ko udaas kyo rakhe,..
--------------------------------------------
Kitna bhi chaho na bhul paoge hume,..
Jitni door jaoge nazdeek paoge hume......,
Mita sakte ho to mita do yaad meri..
Magar kya sanso se juda kar paoge hume.....
------------------------------------------
Zindagi haseen hai,
Zindagi se pyar karo,
Hai andhera to kya,
Ujale ka intezar karo,
Wo pal bhi aayega,
Jiska intezar hai aapko,
Rab par bharosa or ,
waqt par aitbaar karo...
-----------------------------
Lafzo me kya tareef karun aap ki.
aap lafzo me kaise sama paoge,
jab log humre bare me puchenge ,
meri aanko me zaneman sirf tum nazar aaoge,
---------------------------------

No comments:

Post a Comment