verfi

Pages - Menu

verfi

Tuesday 14 June 2016

HUMSAFAR

wo humsafar tha magr us say humnawayi na thi
kehi dhoop chayon ka alam raha,  judaai na thi
Na apna ranj na auro ka dukh na tera malal
shab'e firak kabhi hum nay yun ganwayi na thi
mohabbat ka safar is tarah bhi guzra tha
shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi
adawatein thin, tagful tha, ranjishe thi
bicharney wale me sab kuch tha, bewafai na thi,
kabhi ye haal keh dono main yak dill thi bahut
kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi
ajeeb hoti hay rah'e  sikhan bhi dekh naseer
wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi

Monday 13 June 2016

Use bhul kar jiya to kya jiya.... Dam hai to use pakr dikha....

Use bhul kar jiya to kya jiya....
Dam hai to use pakr dikha....
Likja pattharo par apne prem ki....
kahani, or sagar ko bol...
Dam hai to ise mita kar dikha....

Teri mohabbat me or meri fitrat me fark itna hai ki.......

Teri mohabbat me or meri fitrat me 
fark itna hai ki.......
tera Attitude nahi jata or mujhe
jhukna nahi ata....

Likhti hu sirf dil behlane ke liye,

Likhti hu sirf dil behlane ke liye,
warna jis par pyar ka asr nahi hua,
lafzo ka kya hoga

SEHNEY WALA JAB ZULM SEH KAR BHI MUSKURA DE

SEHNEY WALA JAB ZULM
SEH KAR BHI MUSKURA DE
TO US INSAN KA
BADLA KHUDA LE LETA HAI